Thursday 17 July 2014

Jab aaj mujhe kuch samaj aaya hain...

(It so happens that we feel low sometimes. We lose. We accept defeat. We Try again and again and yet fail. Sometimes we feel as if we are been used by people around us for their evil motos. The truth is we fail to realise that this is life. We fail only when we accept defeat and not vice versa. A take on the other side of life we encounter daily or quite sometimes....)


shaam ki kirno ne sabka rang ek kar diya hain...
aaj fir zindagi ke lehro ka saamna jo kiya hain...
chaaro oar andhera chha raha hain...
jab aaj mujhe kuch samaj aa raha hain....

ae kashti tu bhi kabhi tufaano main doli hogi...
zindagi bhi isi tarah hain sabko boli hogi...
is tufaan ne jaise zindagi ki takleef ko dikhaya hain...
jab aaj mujhe kuch samaj aa raha hain...

paani jab shaant ho, tab sab kuch saaf nazar aaya hain
aise hi logo ko maine paaya hain...
jinhone mujhe nahi unke matlab ne mujhe apnaya hain
jab aaj mujhe kuch samaj aaya hain...

sach to mujhe in lehro ne sikhaya hain...
ki bure samay main na koi apni parchaai...
na apna koi saaya hain...
jab aaj mujhe kuch samaj aaya hain... 

jo smandar ki tarah aage badte jayega...
pata chalega ki chand taaro ko wahi paayega...
ek manzil hi asli chaabi aur waqt is zindagi ka kiraya hain....
jab aaj mujhe kuch samaj aaya hain...

-Viraj V. Baraskar
© 2014 FWA

No comments:

Post a Comment